Aksar aapne whatsapp mein chat karte waqt ye zaroor notice Kiya hoga k kaafi logo ne aapko 100 number ka emoji 💯 send Kiya hoga. Aaj k is blog mein ham aapko poori jankari denge k ye 100 emoji hai kya or iska istemal ham kyun karte hain.
💯Emoji ka aavishkar kahan hua or kisne kiya ?
Ise jaanne se pehle aapko ye zaroor maloom hona chahiye k emoji ka aavishkar kaha se hua. Emoji ka aavishkar kiya hai Shigetaka Kurita jo Japan k nagrik hain, Inhe Father of Emoji bhi kaha jata hai. Inhone emoji ka aavishkar isliye Kiya taaki log apne emotions ko sirf ek click mein bayan kar payen.
Hamne aksar dekha hoga agar hamare paas kuch aisa 😥 emoji aa Jayen to ham samajh jaate hain k saamne wala insaan udas hai or kuch aisa 😁 emoji dikhe to wo khush hai. Iske alawa agar koi khush bhi hai or emotional bhi to Khushi k aansu wala emoji 😂 lagayega.
Jab ham is tarah apne emotions ko sirf ek emoji k zariye bayan karte hain to hamein zada kuch likhne ki zaroorat nahi padti. Sirf ek emoji he kaafi hai saamne wale insaan ko apni feeling share karne k liye.
WhatsApp par 100 💯 emoji ka matlab kya hota hai ?
Baat karte hain 100 emoji 💯 ki . 100 emoji aapko kahin bhi dikh Jaye to iska matlab hai kisi baat par poori tarah sehmati dena, ya poori tarah santusht hona.
English mein kahenge poori tarah kisi ki baat se agree hona, ya kisi k effort ko appreciate karne k liye bhi aap 100 emoji ka istemal kar sakte hain. Jab aap 100 emoji ka istemal karte hain to kai baar aap saamne wale k efforts ko 100 mein se 100 marks de rahe hote hain yaani uski sarahna ya tareef karte hain.
Ye hain kuch examples :
Ram : Zindagi mein hamein halato se haarna nahi hai, balki uska dat kar saamne karna hai.
Shyam : 💯
Shyam : Kya tum mere sath kal palval chaloge ?
Ram : 💯
To dekha aapne pehle Shyam Ram ki soch se sehmat tha isliye unhone 💯 ka istemal kiya or unki baat par sehmati dikhayi.
Fir uske baad Ram Shyam k question ka answer dete hue kehte hain 💯 matlab haan main palwal jaane k liye taiyaar hoon.
Mujhe ummeed hai aapko 100 emoji ka matlab samajh aa chuka hoga.
100 emoji 💯 ka istemal kahan par kar sakte hain ?
💯 Emoji ya koi bhi emoji ka istemal aap kisi bhi social media platform par kar sakte hain jaise whatsapp or whatsapp k alawa Instagram, Facebook, Twitter etc.
Bas dhyan dene wali baat ye hai k agar aap kisi official jagah par baat kar rahe hain, jaise kisi ko email kar rahe hain to iska istemal bilkul bhi na karen or sirf 💯 emoji he nahin aap kisi bhi emoji ko officially istemal na Karen.
Emoji ka istemal aap wahin karen jaha aap friendly kisi se baat cheet karte hain. Office use k liye emoji bilkul nahi bane. Isse aapka reputation down ho sakta hai.
Kya 💯 emoji use karna sahi hai ?
Jaisa k maine kaha k hamein officially ise kahin istemal nahi karna chahiye. Isliye officially ise use karna galat hai. Lekin aap apne doston k sath aise emoji ka istemal karte hain to ismein koi burai nahi hai. Balki isko isi liye banaya gaya hai k ham zada time waste na karte hue apne feelings ko in emoji k zariye bayan kar payen. Isliye aap normal conversation mein ise kahin bhi istemal kar sakte hain.
Conclusion :
💯 Emoji k alawa or jitne bhi emoji hain insko agar ham sahi istemal karna seekh jaate hain to ham apna kaafi samay bacha sakte hain or apni feelings or behtar tarike se seconds mein kisi se bhi share kar sakte hain. Dhyan rahe iska istemal hamesha apne friends k sath he karen. Official platforms par iska istemal bilkul na karen jaise k office mails mein ya kisi bhi prakar k official documents mein. Mujhe ummeed hai aapko ye jankari pasand aayi hogi, Dhanyawad.